Muqallideen
ka waswasaa "Ahle Hadees angrez kee paidaawaar " aur uskaa ilaaj
======================
Maqbool
Ahmad Salafi
Kai
saalon say muqallideen kee taraf say Ahle Hadees kay wajood ko Hindustaan men
angrez kee aamad say jod-nay kee naapaak koshish kee jaa rahi hai taaki apnay
naye wajood ko logon kee nazron say bachaa sake. Yeh kaam wahi kartaa hai jisay
apnay wajood pe bharosaa nahin hotaa.
Darhaqeeqat
Ahle Hadees Hindustaan men hi nahin pooree duniya men us waqt say hain jab say
Islaam hai, yeh alag baat hai hum haq paraston kee taadaad hameshaa kam rahi
hai, iski wajah Allaah rabbul izzat ne khud batlaa di hai. Wa qaleemam min
'ibaadi ash-Shukoor (al-Qur'aan) shukr guzaar banday thoday hi hotay hain.
Ahle
Hadees ko angrez kee aamad say jod-nay kay waaste muqallidon kee aqal ka
janaazaa nikal gaya. Ek taraf to Ahle Hadees ko angrez kee paidaawaar kahte
hain doosri taraf Ahlul Hadees muhaddiseen kee jamaat kah kar shuroo Islaam say
iskaa wajood bhee maante hain. Inki aqal pe maatam kiyaa jaaye aur kya kiyaa
jaaye ?
Ahle
Hadees ka saheeh maanaa aur iski saheeh taareekh samajh len.
Jaisay
Ahlus Sunnah say sunnat waale yaani tamaam musalmaan khwaah padhaa ho yaa
jaahil muraad hain isee tarah Ahlul Hadees say Hadees pe amal karne waale
tamaam musalmaan khwaah padhaa likhaa ho, gair padhaa likhaa muraad hain.
Chunaanchay Imaam Ahmad bin Hambal rahimahullaah ne farmaaya :
"Saahibal
Hadees indanaa min yasta'malul Hadees" humaaray nazdeeq Ahle-Hadees wah
hai jo Hadees par amal kartaa hai.
(Manaaqib
al-Imaam Ahmad bin Hambal li-ibnul Jauzee S 209 wa sanaduhu saheeh)
Mein
Dewbandi yaa barelwee ko angrez kee aulaad yaa uski paidaawaar nahin kah saktaa
Allaah ta'aalaa kay saamnay meri poochh hogi magar in donon ka wajood angrezi
daur say hai yeh bil-yaqeen kah saktaa hoon. Mujhe taajjub is baat pe hai Ahle
Hadees ko kaise angrez kee paidaawaar kaha jaataa hai ?, zarraa baraabar Allaah
ka khauf nahin hotaa. Hind pe raaj karne waalaa angrez to saraapaa kaafir thaa,
musalmaan in kaafir kee paidaawaar kaise ho saktay hain ? sharm nahin aatee yeh
baat kahte huye.
؎ yeh
musalmaan hain jinhen dekh kay sharmaae Yahood
Ahle
Hadees kay mukhtalif naam hain, inmen Salafee, Muhammadi, Ahlus Sunnah aur
Asaraee waghairah hain. Yeh sab Ahle Hadees kay sifaati naam hain jiskee
pahchaan Hadees men taaifay mansoorah batlaai gayi hai. Taaifay mansoorah bhee
ek wasafee naam hai yaani nijaat paanay waali jamaat. Is naam ka bhee yeh
matlab nahin ki Islaam say hat kar yeh ek alag firqaa hai.
Goyaa
Ahlul Hadees men ba-shamool Awwaam wa khawaas sahaabaa, Taaba'een, taba'
Taaba'een, Aimmah aur qiyaamat tak aanay waale haamilay kitaab wa sunnat
shaamil hain. Iskaa do tok matlab yeh huwaa ki Ahle Hadees sadaa say hain.
Aimmah wa muhaddiseen ne angrez kee aamad say sekadon saal pAhle taaifay
mansoorah ko Ahle Hadees batlaaya hai. Imaam Ahmad bin Hambal, Imaam Bukhari,
Imaam Ali bin al-Madeeni aur bahut say Ahle ilm ne taaifay mansoorah Ahle
Hadees hi ko qaraar diya hai.
Hawaalay
kay taur pe Daykhen : (ma'rifah 'uloomul Hadees lil-Haakim : 2 wa sahhahu Ibn
Hajar al-'Asqalaanee fee Fathul Baari j. 13, S 293 tahat H 7311, MasAlatul
Ihtijaaj, bish-Shaafa'ee lil- Khateeb S 47, Sunan Tirmizi ma'rizatul Ahwazee j.
9, S 74 H 2229)
Tawaalat
kay khauf say is baat kay zikr ka mauqaa nahin wagarnaa hazaaron Ahle ilm kay
aqwaal pesh kiye jaa sakte hain jinhonay angrez say sekadon saal pAhle jamaat
Ahle Hadees ka tazkiraa iski madah saraai kee hai.
Ek
aam taalibay ilm yaa aam aadami baghair kitaab uththaaye aur baghair taareekh
ka pataa kiye yeh baat kah saktaa hai ki ٭ Dewbandi kee ibtida madarsaa Deoband kay qiyaam say hai.
٭ barelwee kee ibtida Ahmad razaa barelwee
kee paidaaish kay baad say hai.
٭ aur Ahle Hadees kee ibtida us waqt say hai
jab say Hadees aur aamileen bil-kitaab wal Hadees paaye jaatey hain.
Aray
miyaan ! tum Ahle Hadees kee baat karte ho. Angrez say humaari koi nisbat hi
nahin, hum to asl musalmaan samajh kar aazaadi Hind men gaajar maulaa kee tarah
kaatay gaye aur tum to wafaadaaraanay angrez thay, go ki usnay tumhen janam
nahin diya magar tumhaara wajood usi wafaadaar ne baaqee rakhaa kyunki uskaa
saath jo nibhaatay thay.
Madarsaa
Deoband ka qiyaam 1867 aur Ahmad razaa barelwee kee paidaaish 1865– in donon
kay ma'rizay wajood men aanay say pAhle yaani unneesween aur beeswen sadee
Eiswee say pAhle firqaa Dewbandiyyah aur firqaa barelwiyyah ka koi wajood hi
nahin thaa. Hindustaan men go ki pAhle hi angrez kee aamad ho gayi thi magar
1857 kay baad yahaan iskaa raaj qaayam ho gaya. Jisnay is raaj ka saath diya
angrez ka wafaadaar kahlaayaa aur jisnay mukhaalifat kee usay ghaddaar samjhaa
gaya aur usay qism qism kee sazaa di gayi. Hamen to mukhaalif samajh kar
Wahaabee kaha gaya aur humnay seenon men angrez kee goliyaan khaaeen aur
al-Hamdu lillaah Islaam bachaayaa magar mulk ka ghaddaar honay kay saath, deen
say bhee kuchh musalmaanon ne ghaddaaree kee jinhen islami taareekh kabhi maaf
nahin kar sakti.
Mein
pooray Dewbandi musalmaan ko mataoon nahin kartaa aur naa hi kar saktaa hoon.
Khaas taur say jo abhi kay Dewbandi inkaa koi qasoor nahin magar taareekhi
haqaaiq ka inkaar bhee nahin kiyaa jaa saktaa jismein Deoband aur aalay Deoband
ka angrezi Sarkaar say dostaanaa taalluqaat miltay hain.
(1)
madarsaa Deoband aur angrezi Sarkaar : jo kaam bade bade collegeon men hazaaron
rupyaa kay sarf say hotaa hai wah yahaan kaudiyon men ho rahaa hai. Jo kaam
Principal hazaaron rupyaa maahaanah tankhwaah laykar kartaa hai wah yahaan ek maulwi
chaalees rupyaa maahaanah par kar rahaa hai. Yeh madarsaa khilaafe Sarkaar
nahin balki muwaafiqay Sarkaar mumidd mu'aawinay Sarkaar hai. (maulaanaa
Muhammad ahsan Naanotwee, S 217)
(2)
madarsaa Deoband kay kaarkunaan aur angrez : madarsaa Deoband kay kaarkunon men
aksaryat aisay buzurgon kee thi jo Government kay qadeem mulaazim aur haal
pensions thay jinkay baaray men Government ko shak wa shubah karne kee koi
gunjaaish hi naa thi. (haashiyah sawwaney Qasimee, j. 2, S 247)
(3)
madarsaa Deoband kay baani aur angrez : maulwi Muhammad Qaasim Naanotwee saahib
ka angrezi madarsaa Dehli say bhee taalluq rahaa (tazkiraa ulmaaye Hind Faarsi
S 210 naulakshoorpar yaaseen Lakhnau 1914)
Is
angrezi College ka maqsad bhee jaan len.
"
arabi College (Dehli) kee mashin men jo kal purzay dhaalay jaatey thay inke
mutaalliq taye kiyaa gaya thaa ki soorat wa shakl kay aur bairoonee lawaazim
kay hisaab say to wah maulwi hon aur mazaaq wa raae aur samajh kay aetbaar say
aazaadi kay saath haq kee talaash karne waali jamaat ho ". (sawwaney
Qasimee, j. 1, S 97-96)
Isee
College kay tarbiyat yaaftaa maulwi Qaasim, unkay Ustaad mamlook Ali aur maulwi
ahsan Naanotwee waghairah thay. Daykhen. (maulaanaa ahsan Naanotwee, S 77, 25)
arwaahay salaasaa, S 301) aur (tazkiraa ulamaa Hind, S 210)
(4)
maulwi Rasheed Ahmad Gangohi aur angrez : Dewbandi halqay kay mumtaaz Musannif
maulwi Aashiq ilaahi Meerathee apnee kitaab Tazkiratur Rasheed men angrezi
hukoomat kay saath maulwi Rasheed Ahmad saahib Gangohi kay niyaaz mandaanaa
jazbaat kee tasweer kheenchte huye ek jagah likhte hain aap samajhe huye thay
ki mein jab haqeeqat men Sarkaar ka farmaan bardaar hoon to jhoohay ilzaam say
meraa baal beekaa naa hogaa aur agar maaraa bhee aa gayaa to Sarkaar Maalik hai
isay ikhtiyaar hai jo chaahay karay.) Tazkiratur Rasheed j.1, s80 idaara Islaamiyaat
Laahaur)
(5)
maulwi ashraf Ali thaanwi saahib ko Sarkaar Bartaaniyaa (angrez) say chhe sau
rupaye maahwaar milaa karte thay (Makaalamatus Sadarain safah Number 9, daar al
ishaat Deoband Zila Sahraanpoor)
(6)
tableeghee jamaat kay baani maulwi Ilyaas Kaandhalwee ko Sarkaar Bartaaniyaa
(angrez) say ba-zariyaa letter paise miltay thay – (Makaalamatus Sadarain safah
Number 8)
(7)
jamiyyat ulmaaye Islaam ko hukoomat Bartaaniyaa (angrez) ne qaayam kiyaa aur
inki imdaad kee-(Makaalamatus Sadarain safah Number 7)
Hujjat
qaayam karne kay liye ek hi saboot kaafi hotaa hai magar yahaan is qadr saboot
maujood hain ki aankhen band karne say bhee haqaaiq ojhal nahin hotay.
Khulaasaa
bayaan karte huye yeh kah saktaa hoon ki Dewbandi firqaa angrez kay daur say maariz
wajood men aayaa, is firqe kay sar kardaa ulamaa wa mashaaikh kee tarbiyat
angrezi School men hui, is firqe pe angrezon kay be panaah ahsaanaat hain yaa
yeh kah len ki angrezi saath nibhaanay say inhen khoob khoob angrezi inaamaat
milay.
؎ aap
hi apnee adaaon pe zaraa ghaur karen
Hum
agar arz karenge to shikaayat hogi
Bahut
maazrat kay saath un naadaanon kay naam jo logon men waswasaa paida karte hain
ki Ahle Hadees angrez kee aulaad hain.
Brother
Abdus Sattar ke Shukria ke sath jinhaune ye post Urdu se Roman me convert kiya.
0 comments:
اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔
اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔