Tuesday, January 19, 2016

Pepsi or Merinda Ka Hukm

Pepsi or Merinda Ka Hukm

===============
Mera ek sayal hai Shik Maqbul se ayor is ka jayab bahut jaruri hai rasul صلى الله عليه وسلم ne bataya k hamare ummat k long Sarab piyenge ayor uska nam badal denge to kia avi k jamane me (Pepsi.Merenda. Dew . Ya Fanta) A sab haram khalayenge qu k is me to fiada k yelaya nuksan jiada hai ayor Allah tala ne farmaya (ولا تهلكوا انفسكم ) yea saudi k lia Alag fatya hai ayor mulkun k lia Alag ?????
سائل عبیداللہ بن عبداللطیف ،القصیم، سعودی عرب
وعلیکم السلام ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
الحمد للہ :

Alhamdulillah

Yeh Sawal Logon Mein Kaafi Gardish Mein Hai .
Yeh Baat Sahih Hai Ke Log Sharaab Ka Naam Badal Badal Kar Piyengey, Aur Yeh Qayamat Ki Nishaniyon Mein Se Hai, Aisay Logon Ka Hashr (Anjaam)  Ye Hoga Ki Allah Inhen Zameen Mein Dhasayega Aur Khinzeer o Bandar Banayega. Jaisa Ki Hadees Mein Hai
عَنْ أَبِي مَالِكٍ الأَشْعَرِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ لَيَشْرَبَنَّ نَاسٌ مِنْ أُمَّتِي الْخَمْرَ يُسَمُّونَهَا بِغَيْرِ اسْمِهَا يُعْزَفُ عَلَى رُءُوسِهِمْ بِالْمَعَازِفِ وَالْمُغَنِّيَاتِ يَخْسِفُ اللَّهُ بِهِمُ الأَرْضَ وَيَجْعَلُ مِنْهُمُ الْقِرَدَةَ وَالْخَنَازِيرَ
Tarjuma : Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Albatta Meri Ummat Mein Se Log Zaroor Sharaab Piyen Ge Aur Is Ke Naam Ke Ilawa Koi Aur Naam Rakhengey. Un Ke Saron Par Bajay Bajaye Jayengey Aur Gaaney Waliyan (Gaana Gayengi). Allah Taala Unhein Zameen Mein Dhansa Dayga Un Mein Se Bandar Aur Khinzeer Bana Dayga.
(Ibne Majah: 4020)

Jahan Tak Sawal Hai Pepsi, Mehrinda, Dew or Feta Waghera Ki, To Is Se Mutalliq Awam Mein Do Batein Mashhoor Hain .
( 1 ) Is Mein Alchohal Mila Hai .
( 2 ) Yeh Nasha Aawar Hai.
Khanay Peenay Ki Cheez Ke Mutalliq islami Qaida Yeh Hai Ke Asalan Saari Cheezen Halal Hain Siwaye Un Ke Jin Se Hamein Islam Ne Mana Kya Hai .

Is Lehaaz Se Mashroob Apni Asal Mein Halal Hoga Siwaye Is Ke Jis Ki Momanat Saabit Hoti Ho.
Tehqeeq se Yeh Pata Chalta Hai Ke Pepsi Waghera Mein Alchohal Nahi Paaya Jata, Mazeed Ye Key Pepsi Nasha Aawar Bhi Nahi htai .

Koi Yeh Nahi Keh Sakta Ke Mein Ne Pepsi Pi Aur Mujhe Nasha Aa gaya.
Agar Koi Aisa Mashroob Jis Mein Waqai Alchohal Ya Nasha Ho To Islam Mein Is Ki Momaniyat Hai.

Mazeed Aik Baat Kehna Chahta Hon Ke Nayi Tahqeeq Se In Mashrobat (Pepsi Wagera) Ke Kuch Nuqsanaat Zahir Ho Rahey Hain, Is Liye Is Se Bacha Jaye To Behtar Hai. Is Ki Jagah Mewey (Fruits) Ka Juice Istemaal Karen Jo Sehat Ke Liye Bohot Faidemand Hai.


والله أعلم بالصواب

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanized By: Umar Asari

0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔