Wednesday, January 20, 2016

Naikiyan Aur Buraiyan Likhnay Walay Farishtay

Naikiyan Aur Buraiyan Likhnay Walay Farishtay
= = = = = = = = = = = = = = = =
Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Har Shakhs Key Sath Kayi Farishtay Lagey Hue Hain, Un Farishton Mein Se Do Farishtay Jinhein Kiraman Katibeen (کراما کاتبین) Kaha Jata Hai Woh Logon Ki Achchi Buri Baat Likhnay Par Allah Ki Taraf Se Mamoor Hain. Yani Logon Mein Se Koi Bhi Aisa Shakhs Nahi Hai Jis Key Sath Us Key Chootey, Badey, Achchey or Buray Aamaal Ko Likhnay Key Do Farishtay Na Hon.

Allah Taala Ka Farmaan Hai:
وَإِنَّ عَلَيْكُمْ لَحَٰفِظِينَ¤ كِرَامًا كَٰتِبِينَ¤ يَعْلَمُونَ مَا تَفْعَلُونَ
Tarjumah: Yaqenan Tum Par Nigehbaan Izzat Waley¤ Likhney Waley Muqarrar Hein¤ Jo Kuch Tum Kartey Ho Wo Jantey Hein
(Surah No: 82 Ayat No: 10 To 12)

Yeh Farishtay Insaan Ki Achhai Burayi Jantay Hain Aur Usay Hamesha Likhte Rehtay Hain, Is Liye Insaan Ko Har Amal Sey Pehlay Soch Lena Chahiye Key Woh Acha Hai Ya Bura?
Aik Doosri Jagah Isi Baat Ka Allah Taala Ne Is Tarha Zikr Farmaya hai :
وَلَقَدْ خَلَقْنَا ٱلْإِنسَٰنَ وَنَعْلَمُ مَا تُوَسْوِسُ بِهِۦ نَفْسُهُۥ ۖ وَنَحْنُ أَقْرَبُ إِلَيْهِ مِنْ حَبْلِ ٱلْوَرِيدِ¤ إِذْ يَتَلَقَّى ٱلْمُتَلَقِّيَانِ عَنِ ٱلْيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ قَعِيدٌ¤ مَّا يَلْفِظُ مِن قَوْلٍ إِلَّا لَدَيْهِ رَقِيبٌ عَتِيدٌ

Tarjuma: Hum Ney Insaan Ko Paida Kiya Hai Aur Us Kay Dil Mein Jo Khayalaat Uthtay Hain Un Say Hum Waqif Hain Aur Hum Us Ki Rag-e-Jaan Say Bhi Ziyadah Us Say Qareeb Hain. Jis Din Do Lenay Walay Ja Letay Hain Aik Dayen Taraf Aur Aik Bayen Taraf Betha Hua Hai. (Insan) Mun Say Koi Lafz Nikal Nahi Pata Magar Ke Us Kay Pass Nigehbaan Tayyar Hain.
(Surah No: 50 Ayat No: 16 To 18)

Is Aayat Mein Sarahat (Wazahat) Ke Sath Zikr Howa Hai Key Do Farishtay Dayen Aur Bayen Maujood Hain Jo Hamari Har Baat Likhtey Rehtay Hain. Dayen Taraf Wala Nekiyan ‌Aur Bayen Taraf Wala Buraiyan Likhta Hai.

Upar Zikr Kiye Gaye Dalail Say Pata Chalta Hai Key Insaan Ki Neki Aur Burai Likhnay Key Liye Do Farishtay Mamoor Hain (Lagaye Gaye Hain). Aik Dayen Kandhay Par Jo Neki Likhta Hai Aur Aik Bayen Kandhay Par Jo Burai Likhta Hai. Ahadees Se Yeh Bhi Pata Chalta Hai Key Din Key Do Farishtay Alag Aur Raat Key Do Farishtay Alag Hain‌.

Farishtay Ki Badli Ka Ilm Mandarja Zail (Following) Aayat Say Hota Hai:
لَهُ مُعَقِّبَاتٌ مِّن بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ يَحْفَظُونَهُ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنفُسِهِمْ وَإِذَا أَرَادَ اللَّهُ بِقَوْمٍ سُوءًا فَلَا مَرَدَّ لَهُ وَمَا لَهُم مِّن دُونِهِ مِن وَالٍ¤
Tarjuma: Us Kay Pehraydaar Insaan Kay Aagay Peechay Muqarrar Hain Jo Allah Kay Hukm Say Us Ki Nigehbani Kartay Hain. Kisi Qaum Ki Halat Allah Taalaa Nahi Badalta Jab Tak Ke Woh Khud Usay Na Badlen Jo Un Kay Dilon Mein Hai. Allah Taalaa Jab Kisi Qaum Ki Saza Ka Irada Kar Leta Hai To Woh Badla Nahi Karta Aur Siwaye Us Kay Koi Bhi Un Ka Kaarsaaz Nahi.
(Surah No: 13 Ayat No:11)

Is Aayat Mein “معقبات” Ka Lafz Istemaal Howa Hai Jo “معقبۃ” Ki Jama (Plural) Hai. Is Ka Ma’na (Meaning) Hai “Aik Dosray Key Peechay Anay Walay. Is Se Murad Farishtay Hain Jo Baari Baari Aik Dosray Key Baad Aatey Hain. Din Key Farishtay Jatay Hain To Shaam Key Aa Jatey Hain, Shaam Key Jatay Hain To Din Key Aa Jatey Hain.
(Tafseer Ahsan al Bayan)

Allah Taala Apne Bandon Par Kis Qadar Meharban Hai Key Dil Mein Paida Honay Walay Ghalat Khayalat Maaf Kar Deyta Hai Magar Kisi Ne Neki Ka Iradah Kiya Lekin Neki Na Kar Saka Phir Bhi Neki Likh Di Jati Hai. Subhan Allah al Azim (سبحان اللہ العظیم).
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ إِنَّ اللَّهَ تَجَاوَزَ عَنْ أُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، مَا لَمْ تَعْمَلْ أَوْ تَتَكَلَّمْ
Tarjuma : Hazrat Abu Huraira Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Beshak Allah Taala Ney Meri Ummat Se Us Waqt Tak Darguzar (Maaf) Kar Diya Hai (Us Cheez Ko) Jo Us Key Dil Mein (Bura) Khayaal Paida Hota Hai Jab Tak Key Us Par Amal Na Kare Ya Bol Na Dey.
(Sahih Bukhari: 5269 or Sahih Muslim:127)

Or Doosri Hadees Mein Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ يَقُولُ اللَّهُ إِذَا أَرَادَ عَبْدِي أَنْ يَعْمَلَ سَيِّئَةً فَلاَ تَكْتُبُوهَا عَلَيْهِ حَتَّى يَعْمَلَهَا، فَإِنْ عَمِلَهَا فَاكْتُبُوهَا بِمِثْلِهَا وَإِنْ تَرَكَهَا مِنْ أَجْلِي فَاكْتُبُوهَا لَهُ حَسَنَةً وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَعْمَلَ حَسَنَةً فَلَمْ يَعْمَلْهَا فَاكْتُبُوهَا لَهُ حَسَنَةً، فَإِنْ عَمِلَهَا فَاكْتُبُوهَا لَهُ بِعَشْرِ أَمْثَالِهَا إِلَى سَبْعِمِائَةٍ
Tarjuma: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Key Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Allah Taala (Farishton Sey) Farmata Hai Key Jab Mera Banda Kisi Burayi Ka Iradah Karey To Usay Na Likho Yahan Tak Key Wo Usay Kar Na Le. Agar Wo Us Burai Ko Kar Le To Usay Us (Gunah) Key Barabar (Misl) Likho Aur Agar Us Burayi Ko Mere Khauf Se Chor Day To Us Key Haq Mein Aik Neki Likho, Aur Agar Banda Koi Neki Karney Ka Iradah Karey Lekin Usey Na Kar Sakey To Us Key Hissey Mein (lradah Hi Par) Aik Neki Likh Do, Fir Agar Wo Neki Kar Le To Uskey Liye 10 Sey 700 Guna Tak Likho.
(Sahih Bukhari: 7501)

Aik Or Hadees Mein Hai:
عن أبي أمامة : أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال : إن صاحب الشمال ليرفع القلم ست ساعات عن العبد المسلم المخطئ ، فإن ندم واستغفر الله منها ألقاها ، وإلا كتبت واحدة
Tarjuma : Abu Umama Radhiallahu Anhu Bayan Kartey Hain Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Bayen Taraf Wala Galati Karney Walay Musalman Sey Che (6) Ghantay Tak Qalam Uthaye Rakhta Hai To Agar Woh Apne Kiye Par Nadim Ho Aur Allah Taala Sey Isteghfaar Karey Usay Khatm Kar Deta Hai Agar Na Karey To Aik Gunah Likhta Hai.
(Al Mo’Jam Al Kabeer (At-Tabrani: 8/158)
Is Hadees Ko Allama Albani Rahimahullah Ney (Sahih al Jama’: 2/212) Mein Sahih Kaha Hai.

Yaqeenan Allah Taala Bada Meharban Nihayat Reham Karney Wala Hai.


Romanized By: Umar Asari⁠⁠[

0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔