Logon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyan (Part-1)
= = = = = = = = = = = = = = = =
Tahreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah
Social Media Par Kai Mahino Se Aik Post Ghoom Rahi Hai Jis Mein
Bataya Gaya Hai Key 40 Baton Se Ghar Mein Gurbat (Ghareebi) Aati Hai. Aaiye Aik
Aik Karkey Un Baton Ko Dekhtey Hain Ki Wo Kitni Sahih Hain:
(1) Ghusl Khanay Mein Pishaab Karna:
Hamaam (Ghusl Khaney) Mein Peshaab Karney Se Nabi Sallallahu
Alaihi Wasallam Ne Mana Farmaya hai Magar Us Waqt Ke Hamaam Matti Ke Hotay They
or Aaj Kal Key Hamaam Pakkey Hotey Hain, Is Liye Us Mein Peshaab Karna Jayez
Hai. Aur Yeh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Key Farmaan Mein Nahi Hai Key
Hamaam Mein Peshaab Karne Sey Gurbat (Ghareebi) Aati Hai, Hazrat Ali
Radhiallahu Anhu Ki Taraf Yeh Qoul (Baat) Mansoob Kiya Jata Hai Magar Yeh Jhoot
Hai.
(2) Tooti Hui Kanghi (Comb) Se Kangha Karna:
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Hukm Hai : Jis Key
Baal (Hairs) Hon Woh Un Ki Izzat Karey.
(Abu Daud: 4163) Sahih
Is Hadees Sey Pata Chala Key Balon Ki Zeenat Key Liye Kanghi
Karni Chahiye. Chahay Kanghi Tooti Ho Ya Salim Ho (Tooti Hue Na Ho), Agar Kaam
Layeq Hai To Kanghi Karen Koi Harj Nahi Hai Aur Na Hi Is Key Karne Sey Gareebi
Aati Hai.
(3) Toota Hua Samaan Istemaal Karna:
Toota Hua Samaan Kaam Key Laiq Ho To Us Ka Istemaal Jayez Hai.
Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Sey Riwayat Hai Key Woh
Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Radhiallahu Anhum Key Liye Aik
Chaudey Bartan Mein Khana Layein. (Itnay Mein) Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Aa
Gaien. Unhon Ne Aik Chadar Ourh Rakhi Thi Aur Un Key Paas Aik Paththar Tha.
Unhon Ney Paththar Maar Kar Bartan Tod Diya. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Ne
Bartan Key Dono Tukdon Ko Mila Kar Rakha Aur Do Baar Farmaya: Khao, Tumhari Maa
Ko Ghairat Aagai Thi. Us Key Baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ney
Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ka Bartan Ley Kar Hazrat Umm e Salma Radhiallahu
Anha Key Haan (Ghar, Paas) Bhej Diya Aur Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Ka
(Toota Hua) Bartan Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ko Day Diya.
(Sunan Nasai: Kitab: عشرة النساء,
Baab: الغیرۃ: Hadees No: 3956)
*Allama Albani Rahimahullah Ne Hadees Ko Sahih Kaha Hai.
(Sahih Sunan Nasai: 3693)
(4) Ghar Mein Koda Karkat (كوڑا کرکٹ)
Rakhna:
Ghar Ka Koda Karkat Ghar Key Kisi Konay Mein Jama Karney Mein
Koi Harj Nahi Hai, Jab Ziyada Ho Jaye To Phenk Den. Is Mein Aik Ehtiyat Yeh
Hona Chahiye Key Khanay Peenay Ki Bachi Hui Zayed (Zada) Cheezen Zaya (Barbad)
Na Karen Balkay Kisi Ko De Den. Ghar Mein Koda Rakhnay Se Gareebi Aati Hai Yeh
Bhi Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob Jhooti Baat Hai.
(5) Rishtey Daron Sey BadSulooki Karna:
Aisa Koi Khaas Farmaan e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Nahi
Hai Key Rishtey Daaron Sey BadSulooki Gurbat Ka Sabab (Reason) Hai, Lekin Bohat
Saaray Aisay Dalail Hain Jin Se Pata Chalta Hai Key Masiat (Nafarmani) Aur
Gunah Key Kaam Se Rizq Mein Tangi Hoti Hai.
(6) Bayen Pair Sey Pajamah Pehnna:
Mumkin Hai Key Is Se Murad Ho Pajama Pahannay Mein Bayen Janib Se
Shuru Karna. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Sharf Wala Kaam Dayen Se
Pasand Farmatay They, Is Bina Par (Is Wajah Sey) Dayen Janib Sey Pajama Pehnna
Behtar or Mustahab Hai Jaisa Key Hadees Mein Ye Baat Maujood Hai. (Dekhen:
Sahih Bukhari: 168).
Magar Kisi Ne Bayen Se Pehan Liya To Koi Masiat (Nafarmaani)
Nahi Hai Aur Na Hi Yeh Faqr o Faqa (Poverty and Starvation) Ka Sabab Banay Ga.
(7) Maghrib or Isha Keu Darmiyan Sona:
Maghrib Aur Isha Key Darmiyan Sona Makrooh Hai, Is Ka Sabab Isha
Ki Namaz Faut Ho Jana Hai Is Liye Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Isha
Sey Pehlay Sona Aur Isha Key Baad Baat Karna Napasand Farmatay They. Jaisa Ki
Hadees Mein Aaya Hai (Dekhen Bukhari: 568).
Agar Koi Adatan (Routin Key Etbaar Sey) Nahi Zarooratan (Zaroorat
Ki Wajah Sey) Kabhi So Jaye To Woh Isha Ki Namaz Aadhi Raat Se Pehlay Kabhi Bhi
Parh Le.
(8) Mehman Anay Par Naraaz Hona:
Islam Ne Mehmaan Ki Khatir Daari Par Ubhara Hai, Lihaza Kisi
Mehman Ki Aamad Par Narazgi Ka Izhaar Na Karen. Mehman Nawazi Bahar Se Anay
Walay Musafir Ke Wastay Wajib Hai Aur Jo Muqeem Ho Us Ki Ziyafat Ehsaan o
Sulook Ke Darjay Mein Hai. Jis Ney Ziyafat Mein Ehsaan Ko Chora Us Par Gunah
Nahi Magar Wajibi Ziyafat Ko Chorney Par Masiyat (Nafarmani) Aeyegi. (Ahadees
Key Liye Dekhen: Sahih Bukhari: 6135 or 6138)
(9) Aamdani Se Ziyada Kharch Karna:
Isay Bewaqoofi, Hamaqat, Nasamjhi Aur Faash Galati (Jo Galati
Zahir Ho) Keh Satke Hain.
(10) Daant (Teeth) Se Rooti Kaat Kar Khana:
Daant Se Rooti Kaat Kar Khanay Se Gareebi Nahi Aati, Agar Aisa
Hota To Duniya Mein Koi Maldaar Hi Nahi Hota Kiyunkay Danton (Tooth) Se Kaat
Kar Hi Log Badey Hotay Hain. Rooti To Haath Se Bhi Tori Ja Sakti Hai Magar Aisi
Bhi Bohat Cheezen Hain Jinhein Aksar Daant Se Hi Kaat Kar Khaya Jata Hai. Aaj
Angrezi Style Aaya Hai Aur Dihaton (Villages) Mein To Nahi Shehron Mein Khanay
Key Sath Chaaqo (Knife) Rakh Detey Hain Jabkay Aaj Se Pehlay Yeh Style Nahi
Chalta Tha.
(11) Chalees Din Se Ziyada Zer e Naaf Ke Baal Rakhna:
Chalees Din Ke Andar Zer e Naaf Key Baal Saaf Kar Lena Chahiye
Kiyunkay Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yahi Had Muqarrar Ki Hai.
Jaisa Ki Sahih Muslim Mein Hadees Hai. (Dekhen: Sahih Muslim: 258). Jo Is Se
Ziyada Takheer (Late) Karte Hain Woh Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hain.
(12) Daant (Teeth) Se Nakhun (Nails) Kaatna:
Islam Mein Kahin Danton (Tooth) Se Nakhun Kaatnay Ki Momaniyat
Nahi Aayi Hai, Lekin Chunkay Islam Sehat Ki Hifazat Par Dhiyaan Dilaata Hai Is
Liye Agar Daant Se Naakhun Kaatnay Mein Koi Tibbi (Medical) Nuqsaan Ka Pehlu
Nikalta Ho To Is Se Parhaiz Kiya Jaye (Bacha Jaye) Aur Agar Is Mein Nuqsaan
Nahi To Bhi Daant Se Nakhun Kaatna Sahih Nahi Lagta Kiyunkay Naakhun Mein
Gandagi Hoti Hai Aur Gandi Cheez Ko Mun Se Pakarna Aur Danton Se Kaatna Sahih
Nhi Lagta Kiunki Naakhun Mein Gandagi Hoti Hai Aur Gandi Cheez Ko Mun Se
Pakarna Aur Danton Se Kaatna Sahih Nahi Hai, Khusoosan (Khaas Taur Sey) Logon
Ke Samnay.
(13) Khadey Khadey Pajama Pehanna:
Pajama Khadey or Padey Dono Pehan Satkey Hain, Aap Ko Jismein
Aasaani Ho Usey Ikhtiyar Karen. Aur Kisi Par koi Gunah Koi Faqr (Greebi,
Poverty) Nahi Shariat Ki Janib Se.
(14) Aurton Ka khadey Khadey Baal Bandhna:
Yeh Koi Masla Nahi Hai. Is Mein Aik Hi Baat Ahem Hai Ke Aurat
Ajnabi Mard Ke Samnay Baal Na Bandhay. Baqi Woh Khadey Ho Kar, Baith Kar Aur So
Kar Kisi Bhi Tarah Baal Bandh Sakti Hai.
(15) Phatay Hue Kapray Jism Par Seena:
Phatay Hue Kapray Jism Par Hotay Hue Rafoo Karna Aasaan Ho To Is
Mein Koi Harj Nahi Aur Utaarnay Ki Zaroorat Padey To Us Soorat Mein Usay
Utaarna Hi Hoga.
Jari Raheyga…………………...
Romanized By: Umar Asari[1/20/201
0 comments:
اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔
اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔