جو زکوۃ ادا نہیں کرتے ؟
Comments darkaar hain. Agar zakaat ki
farziyyat aor ahmiyyat pahle bata di jaaye aor uske baad bhi koi zakaat ada na
kare ya mana kare to kya karna chahiye?
Sail: Irfanullah, Riyaz Saudia Arabia
الجواب بعون اللہ الوھاب:
Alhamdulillah Zakat Islam Key Paanch
Arkaan Mein Sey Teesra Ahem Rukn Hai, Jiski Adaigi Har Sahib e Nisaab Par Saal
Mein Ek Martaba Hai.
Jo Shakhs Zakat Ada Nahi Karta Allah
Key Nazdeek Uski Pakad Hogi, Aisey Logon Key Baarey Mein Sakht Waeed Aai Hai.
Allah Ta'ala Ka Farmaan hai:
وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ
وَلاَ يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ , يَوْمَ يُحْمَى
عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَى بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ
هَـذَا مَا كَنَزْتُمْ لأَنفُسِكُمْ فَذُوقُواْ مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ
Tarjumah: Wo Log Jo Sona Chandi Ko
Khazano Mein Jama Kartey Hain or Allah Ta'ala Ki Raah Mein Kharch Nahi Kartey
Unhein Shadeed Azaab Ki Khushkhabri De Do Us Din (Unkey Maal Ko) Garm Kiya
Jayega Jahannum Ki Aag Mein, Or Unki Peshaniyon, Pahlu or Peethon Ko Dagha
Jayega or (Kaha Jayega) Ke Ye Hai Tumhara Maal, Jo Tum Ney Apney Liye Jama Kiya
Tha So Aaj Us Azaab Ka Maza Chakho, Jo Tum Apney Liye Jama Kartey The.
(Surah Taubah: 34 and 35)
Sahib e Nisaab Par Zakaat Ki Adaigi
Farz Hai, Jo Zakat Ada Nahi Karta Wo Gunaah e Kabeerah Ka Murtakib Hai, Aisey
Shakhs Ko Naseehat Karna Chahiye Ke Wo Apney Gunaah Sey Tauba Karey or Jo Zakat
Key Mustahiq Hain Unhein Apney Maal Sey Zakat De. Agar Koi Naseehat Key Bawjood
Apney Haal Par Qayem Hai To Allah Sey Uski Hidayat Key Liye Dua Karen.
والله أعلم بالصواب
Shaikh Maqbool Ahmad Salafi
Hafizahullah.
Romanized By: Umar Asari
0 comments:
اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔
اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔