Nasihat Ke Taur Par Qissay Bayan
Karne Ka Hukm
= = = = = = = =
= = = = = =
Sheikh Maqbool Ahmed Salafi
Hafizahullah
Nasihat Ke Liye Quran o Hadees Mein
Beshumaar Qissay Bayan Kiye Gaye Hain, Is Liye Kisi Ko Nasihat Karne Key Maqsad
Se Yeh Qissay Kaafi Hain. Magar Woh Qissay Aur Kahaniyan Jo Quran o Hadees Mein
Na Hon or Unki Sachchaai Ka Ilm Ho To Unhen Bhi Bayan Kiya Ja Sakta Hai.
Lekin Woh Waqiyaat Jo Mangharat, Deen
Se Takaraane Walay, Imaan Kharab Karne Walay Aur Jhootay Hon To Unhen Nhin
Bayan Kiya Jayega Kiunki Jhoot To Jhoot Hai Is Se Ibrat Lena Kaisa ?
Aik Soorat Hai Ke Agar Yeh Jhootey
Aur Mangharat Waqiyaat Logon Mein Shohrat Paa Rahe Hon, Aur Logon Ko Un Se
Ghalat Fehmiyan Ho Rahee Hon Ya Log Un Waqiyaat Ko Sach Samajhtey Hon To Aisey
Halaat Mein Un Waqiyaat Ka Butlaan Wazeh Kiya Jayega Takey Logon Ko Sachchaai
Ka Ilm Ho Sakay.
واللہ اعلم بالصواب
Romanized By: Umar Asari
0 comments:
اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔
اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔