Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fats) Sey Baney Saabun (Soap) Ka Hukm
Khinzeer Ka
Gosht (Meat), Uski Charbi (Fat) or Uskey Jism Ka Doosra Hissa Sab Haraam Hain.
Darasal (Actually) Ye Jaanwar Hi Khabees Hai, Iski Khabasat Iskey Goosht,
Charbi, Chamdey (Skin), Khoon (Blood) or Iskey Body Key Har Har Hissey Mein
Faili Hue Hai. Is Liye Allah Ta’ala Ney Khinzeer Ko Haram Qarar Diya Hai. Quran
Mein Agarche Sirf Khinzeer Key Goosht Ka Tazkirah Hai Lekin “Sahih Bukhari”
Mein Lafz e Khinzeer “Aam” Aaya Hai Jo Iski (Khinzeer Ki) Saari Cheezon Key
Haram Honey Ki Daleel Hai:
إِنَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ
حَرَّمَ بَيْعَ الْخَمْرِ وَالْمَيْتَةِ وَالْخِنْزِيرِ وَالأَصْنَامِ
Tarjumah: BeShak
Allah Ta’ala or Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Sharab, Murdaar
(Dead), Suwar (Pig) or Buton (Idols) Ka Bechna Haram Qarar Diya Hai.
(Sahih
Bukhari: 2236)
Isi Wajah Sey
Agar Sabun (Soap) Mein, Ya Tel (Oil) Mein, Ya Dwa (Medicine) Mein, Ya Khaaney
Peeney Ki Cheezon Mein Khinzeer Ki Charbi (Fat) Ya Khinzeer Ki Kisi Cheez Ki
Milawat Hai To Aisey Kisi Saamaan Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.
Yahan Ek Baat or
Zikr Kar Dun Ke Logon Mein Kuch Cheezon Key Talluq Se Yunhi Shor Ho Jaata Hai
Ki Falan Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Hai To Aisi Cheezon Key Baarey Mein Ye
Kahna Chahta Hun Ki Jab Tak Kisi Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Ka Ilm Na Ho
Uska Istemaal Jayez Hoga Kiunki Ashyaa (Cheezon) Ki Asal Jawaaz (Jayez Hona)
Hai.
واللہ اعلم
Tahreeh: Sheikh
Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanized By:
Umar Asari
0 comments:
اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں
اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔
اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔