Thursday, June 23, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-5)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-5)

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

(5) Rozay ke mufsidat:
Wo cheezein jin se roza baatil ho jata hai:
* Jaan boojh kar kha pi lenay se roza toot jata hai. Aisay logon ko qaza ke saath tauba bhi karni chahiye.

* Rozay ki halat mein jimaa (hambistri, sex) karna. Is ki qaza aur kaffara dono hai. Kaffara: Aik ghulam azaad karna ya do mahiney musalsal (continuously) rozay rakhna ya saath (60) miskeeno ko khana khilana.

* Haiz o Nifaas ka aana.

* Jaan boojh kar qay karna.

* Bos o Kinar ya Mushtzani (masturbation) se mani (sperm) kharij karna. Is par sirf qaza hai.

* Jo cheezein khanay peenay ke muqabil hon un se bhi roza fasid ho jayega. Jaisey: Taqat wala injection.

* Jaan boojh kar khoon nikalna. Jaisey: Hijama (Cupping). (Kuch logon ke nazdeek Hijama se roza nahi tootta hai)

(6) Rozay ke jayez or mustahab umoor:
Is mein do baatein hain.
Pehli Baat : Un umoor se mutalliq hai jin se roza nahi tot-ta aur woh umoor neechey zikr kiye jaa rahey hain:
Bhool kar khaana peena, galati se qay karna, apney aap par control rakhnay walon ka biwi se bos o kinar karna, khud bakhud khoon aana jaisey: Nakseer, zakhm ya medical check up ki gharz se thora sa khoon nikalna, bina taqat waley injection lagana, surma lagana, kulli karna, naak mein pani daalna, sir par pani daalna, nahana, zaroorat ke waqt khanay ka zayeqa chakhna lekin khayal rahey kay pait mein na jaye, ehtelaam (wet dream) ho jana, haalat e janabat mein subah ho jana, naak kaan aur aankh mein qatray (drops) daalna (yeh amal raat mein karey to behtar hai), toothpaste karna waghera.

Doosri Baat: Un umoor se mutalliq hai jin ka karna rozay ki halat mein mustahab aur pasandeedah hai:

* Ibadat par mehnat: Har qism ki bhalai ka kaam karna. For example: Quran ki tilawat, us mein tadabbur (gaur o fikr), sadqa, dua, zikr or faraiz ke saath deegar nafli ibadat par mehnat karna.
* Faraiz ke alawah ibadaat mein taraveeh, shab e qadr ki ibadat, umrah aur aitekaf barey ajr (sawaab) wala amal hai.

* Miswaak karna: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
السِّوَاكُ مَطْهَرَةٌ لِلْفَمِ مَرْضَاةٌ لِلرَّبِّ
Tarjumah: Miswaak se mun saaf hota hai aur Allah ki razamandi haasil hoti hai.
{(Sunan Nasai: 5) Allama Albani Rahimahullah ne is hadees ko Sahih qarar diya hai}

* Iftaar o sehri mein khujoor ya paani ka istemaal masnoon hai, sehri mein takheer (late) aur iftaar mein jaldi karen, iftaar ke waqt dua karna aur rozaydaaron ko iftaar karana bhi mehboob amal hai.

* Yahan yeh bhi dhiyaan rahey ke jahan rozay ki halat mein bhalai ka kaam karney se ajr barh jata hai wahein is mahinay mein khusoosan rozay ki haalat mein gunah karney se burai ka darjah bhi barh jata hai is liye zabaan, haath, pair or pooray dil o dimagh ko rozay ke dauraan aisey umoor se bachaaye.

Romanised By: Umar Asari


Chat Conversation End

0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔