Monday, February 22, 2016

Muhammadi Qaaedaa : ek nazar taqreez :

Muhammadi Qaaedaa : ek nazar taqreez :
➖➖➖➖➖➖➖

Maqbool Ahmad Salafee / Daa'ee daftar taawunee braaye daawat wa irshaad taaif, Saudi arab

Quraanay karim, aakhiri aasmaani kitaab hai, yeh ganjeenah uloom wa funoon hai. Yahee wajah hai ki jahan isay musalmaan padhtay hain waheen gairon ne bhee isay padhkar khoob khoob faaeda uththaayaa. Qur'aan kay mut'aaddid ejaaz hain, inmen say ek yeh bhee hai ki jaisay Allaah ta'aalaa ne is kitaab ko aasaan banaayaa hai waisay hi iskaa padhnaa aur hifz karnaa bhee aasaan banaa diya hai. Zamaanaa qadeem say yeh riwaayat chali aa rahi hai ki tifle maktab mahaz ek qaaedaa kee ta'leem haasil kartaa hai aur baraahay raast Quraanay karim apnay haathon men le letaa hai, goyaa Qur'aan padhnaa Qur'aani qaaeday par munhasir hai. Qaaedaa jis qadr aasaan aur mumtaaz hogaa utnee hi jaldi bachchay kay haath men Qur'aan hogaa. Is waqt qaaidon kee bahutaat hai magar "Muhammadi Qaaedaa" men jo khoobiyaan hain wah sab say alag aur sab say niraali hain.

Iski chand anokhi khoobiyaan mandarjah zel hain.

* Yeh Qaaedaa Musannif kay kai saalaa tadreesee tajroobaat ka nichod hai.

* Is qaaeday kay tees asbaaq is qadr sahal hain ki bachchon ko yaad karne men koi dushwaari nahin hogi.

* Mut'aaddid kitaabon say istifaadah karkay Musannif ne qirat wa tajweed kay qawaaid ikhtisaar kay saath, salees andaaz men pesh kiyaa hai.

* Is kitaab kay padhaane ka bhee ek theory hai jisay samajh lene kay baad nihaayat qaleel muddat men bachchaa yeh Qaaedaa khatm kar saktaa hai.

* Yeh Qaaedaa khatm hotay hi bachchaa arabi wa Urdu zabaan kay saath qirat wa tajweed ka bhee jaankaar hogaa, basharteki mudarris ne Musannif kay bataaye huye usool wa nazriyaat ko bartaa ho.

* Mashq wa imtihaanee sawaalaat ka ihtimaam bhee is qaaeday ko deegar qawaaid say mumtaaz kartaa hai.

* Itnee jaldi is Qaaeday kay bees say zaaid edition shaae ho jaanaa Awwaam men talqee bilqabool kee waazeh daleel hai.

* Taraqqiyaatee daur mein is munfarid qaaeday kee CD bhee tayaar kar lee gayi hai, bachchon ko kitaabi qaaeday kay saath agar CD say bhee mashq karaai jaaye to sone pe suhaagaa ho jaayegaa.

* Muhammadi Qaaeday ka "Al-Misbah" Software bhee behad mufeed hai.

Is Qaaeday kee tasneef wa taaleef men madarsaa Muhammadiyaa kay naazim qaari Aboo Mu'aaz Ashfaaq Ahmad Muhammadi ne badi 'Irq rezi say kaam liyaa hai jiskay liye mein dil kee gahraaiyon say inhen mubaarakbaad detaa hoon. Yeh kaam jamaat kay liye ek sarmaayaa kee haisiyat rakhtaa hai. Ahle Madaaris, Mudarriseen aur Qurraa hazraat say appeal kartaa hoon ki apnay apnay Madarso aur maktabon mein is Qaaeday ko nisaab men daakhil karen jo is waqt meri nazar men sab say umdah Qaaedaa hai. Aakhir men Allaah ta'aalaa say duaa kartaa hoon ki is kitaab ko ummat kay liye nafa bakhsh banaaye, Musannif Qaaedaa Muhammadi biraadaram Aboo Mu'aaz Muhammadi kay liye sadqaa jaariyaa banaaye aur is Qaaeday kee tarteeb wa tazeen, kitaabat wa tabaa'at aur nashr wa ishaa'at men mu'aawin sabko ajray jazeel say nawaazay. Aur Musannif ko mazeed is tarah say jamiyyat wa jamaat kay cause men izaafaa kee taufeeq bakhshe. Aameen

Wa sallallaahu 'alaa nabiyyinaa Muhammad wa 'aalihi wa sallaam

0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔