Sunday, March 20, 2016

Maa Ka Doodh Bakhshwaney ki Haqeeqat

Maa Ka Doodh Bakhshwaney ki Haqeeqat


Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Milti Lekin Samaaj Mein Yeh Baat Mash-hoor (Famous) Hai Ke Maa Se Doodh Bakhshwa Lo. Ya Baaz (Kuch) Maayen (Mothers) Bolti Hain Ke Mein Ney Apna Doodh Bakhsh Diya.
Yeh Darasal Tawahhumaat (Superstition) Mein Se Hai. Islam Mein Asal Cheez Hai Allah Taala Key Huqooq, Uskey Baad Bandon Key Huqooq.
Bandey Ko Allah Key Huqooq Ada Karna Chahiye Aur Isi Tarah Bandey Key Upar Bandon Ke Jo Huqooq Hain Usay Ada Karna Chahiye.
Allah Taala Naay Maa Baap Ke Huqooq Wazeh Kar Diye Hain.

Walidain Ke Huqooq Mein
* Walidain Key Saath Bhalai Ka Hukm

* Maa Baap Ki Khidmat Karna

* Budhaapey Mein Sahara Banna

* Walidain Ke Saath Narmi or Tawazo, Khaksari or Inkisari Se Pesh Aana

* Walidain Ke Liye Dua Karna
* Walidain Ki Narazgi Se Bachna Aur Un Ka Hukum Maanna

Yeh Sab Maa Baap Key Huqooq Hain, Jo In Huqooq Ko Ada Karega Woh Allah Key Yahan Maa Ka Doodh Bakhshwaney Key Mutalliq Nahi Poocha Jayega.

واللہ اعلم بالصواب

Romanized By: Umar Asari

0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔