Sunday, January 31, 2016

Juma’ Ke Din Aurat Kaisay Faida Utha Sakti Hai?

Juma’ Ke Din Aurat Kaisay Faida Utha Sakti Hai?
= = = = = = = = = = = = = = = = = = =


Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah


Juma' Ka Din Tamam Dinon Mein Sab Se Behtar Din Hai, Yeh Din Jahan Mard Ke Liye Behtar Hai Wahein Aurton Ke Liye Bhi Behtar Hai Magar Afsos Hamaray Yahan Juma' Ke Mutalliq Aurton Ko Tareeki Mein Rakha Gaya Hai. Inhen Yahi Taleem Di Jati Hai Ke Juma Ka Din Sirf Mard Ke Liye Hai Aurton Ke Liye Kuch Nahi. Is Wajah Se Aurtein Jahan Aam Dinon Mein Ghaafil Hoti Hain Wahin Dino Key Sardar Yani Juma Key Din Mein Bhi Ghaflat Ki Shikaar Rehti Hain. Mein Aap Ki Khidmat Mein Sahih Ahadees Ki Roshni Mein Mukhtasran Bayan Karta Hun Ke Khatoon e Islam Kis Tarah Juma' Key Babarkat (Barkat Waley) Din Se Faida Utha Sakti Hai.


(1) Ghusl e Juma’:
Juma’ Ke Din Ghusl Karna Wajib Nahi Balkey Mustahab Hai, Yahi Baat Durust Hai.
Aur Woh Hadees Jis Mein Juma’ Ka Ghusl Wajib Bataya Gaya Hai Jo Hazrat Abu Saeed Khudri Radhiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
الغُسْلُ يومَ الجمعةِ ، واجِبٌ على كلِّ مُحْتَلِم
Tarjuma: Juma’ Ke Din Ghusl Karna Har Baaligh Par Wajib Hai.
(Sahih Muslim: 846)
Is Ke Mutalliq Jumhoor Ulama (Aksar Ualam) Ne Kaha Hai Ke Is Se Sunnat Ki Takeed Murad Hai.
Aurat Agar Juma’ Ki Namaz Mein Haazir Hoti Hain To Us Ke Liye Bhi Ghusl Karna Masnoon Hai Jaisa Key Ek Riwayat Mein Warid Hai.
من أتى الجمعةَ منَ الرِّجالِ والنِّساءِ فليغتسِلْ , ومن لم يأتِها فليسَ عليهِ غُسلٌ منَ الرِّجالِ والنِّساءِ(ابن خزيمة و ابن حبان)
Tarjuma: Mard Aur Aurat Mein Se Jo Juma’ Ki Namaz Ke Liye Aaye Woh Ghusl Kare, Aur Jo Juma’ Ki Namaz Na Parhry Us Mard o Aurat Par Ghusl Nahi Hai.
*Imam Nawawi Rahimahullah Ne “Al-Khulasah (الخلاصہ)” Aur “Al-Majmoo’ (المجموع)” Dono Ke Andar In Alfaaz Ke Saath Is Ki Sanad Ko Sahih Qarar Diya Hai.
(Al-Majmoo’: 4/534 Or Al-Khulasah: 2/774)


*Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Ne Kaha "رجالہ ثقات" (Is Key Rijaal Siqah Hain)
{Fatah al Baari (Ibne Hajar): 2 / 417}


(2) Juma’ Ke Din Durood Parhna:
إنَّ من أفضلِ أيامِكم يومَ الجمعةِ ، فيه خُلِقَ آدمُ ، و فيه قُبِضَ ، و فيه النفخةُ ، و فيه الصعقةُ ، فأكثروا عليَّ من الصلاةِ فيه ، فإنَّ صلاتَكم معروضةٌ عليَّ ، إنَّ اللهَ حرَّم على الأرضِ أن تأكلَ أجسادَ الأنبياءِ
Tarjuma: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Juma’ Ka Din Tumharey Tamam Dinon Mein Sab Se Afzal Din Hai. Is Din Adam Alaihissalam Paida Kiye Gaye, Isi Din Wafaat Paye, Isi Din Soor Foonka Jayega Aur Isi Din Behoshi Taari Hogi. Pas Is Din Tum Mujh Par Kasrat Se Durood Bhejo, Is Liye Ke Tumhara Durood Mujh Par Paish Kiya Jata Hai, Allah Taala Ne Ambiya Key Jismon Ko Miti Par Haraam Qarar Diya Hai.
{Sahih al Jami’: 2212 (Albani) }
Juma’ Ke Din Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Parhney Wali Yeh Hadees Mard o Aurat Dono Ko Shaamil Hai, Is Liye Aurat Bhi Juma’ Ke Din Durood Ka Khaas Ihtimaam Kare.


(3) Surah Kahaf Ki Tilawat Karna:
Kawateen Ko Juma’ Ke Din Surah Kahaf Ki Tilawat Karni Chahiye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Aam Farmaan Hai Jis Mein Mard Ke Saath Aurat Bhi Shaamil Hai:
من قرأ سورةَ الكهفِ في يومِ الجمعةِ ، أضاء له من النورِ ما بين الجمُعتَينِ
Tarjuma : Hazrat Abu Saeed Khudri Radhiallahu Anhu Se Marwi Hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Jis Ne Juma’ Ke Din Surah Kahaf Parhi To Is Juma’ Se Dosrey Juma’ Tak Us Ke Liye Noor Ko Roshan Kar Diya Jata Hai.
{Sahih al Jami’: 6470 (Albani) }


(4) Aurton Ke Liye Namaz e Juma’:
Is Par Sab Ka Ittifaaq Hai Key Juma’ Ki Namaz Sirf Mardon Par Farz Hai, Aurton Par Farz Nahi Hai. Is Ki Daleel:
الجمعةُ حقٌّ واجبٌ على كلِّ مسلمٍ في جماعةٍ ؛ إلا أربعةً : عبدًا مملوكاً ، أو امرأةً ، أو صبيًّا ، أو مريضًا
Tarjuma: Juma’ Ki Namaz Har Musalman Par Jamaat Ke Saath Wajib Hai Siwaye Chaar Logon Ke: Ghulam, Aurat, Bachcha Aur Bemaar.
{Sahih al Jami’: 3111 (Albani) }
Lekin Yahan Yeh Baat Bhi Jaan Leni Chahiye Key Agar Aurat Juma’ Ki Namaz Mein Shaamil Ho Jati Hai To Us Ki Namaz e Juma’ Sahih Hai Aur Us Se Zohr Ki Namaz Saqit Ho Jayegi. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamaney Mein Sahabiyyat Juma’ Mein Shareek Hoti Theen.
عن أم هشام بنت حارثة بن النعمان: وما أخذت (ق والقرآن المجيد) إلا عن لسان رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرؤها كل يوم جمعة على المنبر إذا خطب الناس
Tarjuma: Sayyidah Umm e Hisham Binte Harisa Bin Noman Radhiallahu Anha Bayan Karti Hain Ke Mein Ne Surah Qaaf (ق) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zabaan e Mubarak Se (Sun Kar) Hi To Yaad Ki Thi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Usay Har Juma’ Ke Din Mimbar Par Logon Ko Khutba Detey Hue Tilawat Farmaya Kartey They.
(Sahih Muslim: 873)


(5) Dua Ki Qubuliyat:
Juma’ Ke Din Aik Ghadi (Waqt) Aisi Hai Jis Mein Dua Ki Jaye To Qubool Ki Jati Hai, Is Liye Aurat Ko Juma’ Ki Is Ghadi Mein Dua Karni Chahiye.
أنَّ رسولَ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم ذكَر يومَ الجمُعةِ، فقال : فيه ساعةٌ، لا يُوافِقُها عبدٌ مسلمٌ، وهو قائمٌ يُصلِّي، يَسأَلُ اللهَ تعالى شيئًا، إلا أعطاه إياه . وأشار بيدِه يُقَلِّلُها
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Juma’ Ke Din Ka Zikr Kiya Aur Farmaya: Is Mein Aik Aisi Ghadi Hai Koi Musalman Bandah Namaz Ki Haalat Mein Allah Taala Se Jo Kuch Talab Karta Hai To Allah Taala Usko Zaroor Inayat Karta Hai (Means Deta Hai) - Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Hathon Se Us Waqt Ke Thoray Honey Ka Ishara Kiya.
(Sahih Bukhari: 935)
Qubuliyat Ki Yeh Ghadi Konsi Hai Is Mein Ikhtilaaf Hai, Do Aqvaal Ziyada Maroof (Famous) Hain.
Pahla Qaul: Juma’ Ki Azaan Se Lekar Namaz Mukammal Honey Tak.
Doosra Qaul: Asr Ke Baad Se Lekar Sooraj Guroob (Doobney) Honay Tak Hai.
Waisay Ulama Ka Ziyada Rujhaan Dosrey Qaul Ki Taraf Hai, Agar Juma’ Ke Waqt Bhi Dua Karli Jaye To Ziyada Munasib Hai Jaisa Key Allamah Ibn e Qayyim Rahimahullah Ne Zikr Kiya Hai.


(6) Juma’ Ke Din Husn e Khatma:
Jaisa Key Mein Ne Upar Btaya Hai Ke Aksar Aurtain Jaankaari Na Honay Ki Wajah Sey Juma’ Ke Din Bhi Khair (Bhalai) Ke Kamon Se Door Rehti Hain Jabkey Juma’ Ka Din Afzal Hai, Is Din Neiki Karna Chahiye Aur Gunah Se Bachna Chahiye. Juma’ Ke Din Wafaat Paana Husn e Khtma Ki Alamat Hai.
Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
ما مِن مسلمٍ يموتُ يومَ الجمعةِ أو ليلةَ الجمعةِ إلَّا وقاهُ اللَّهُ فِتنةَ القبرِ
Tarjuma: Jo Koi Musalman Juma’ Ki Raat Ya Din Mein Wafaat Paata Hai Allah Taala Us Ko Azaab e Qabr Se Bachata Hai.
Andaza Kijiye Ke Koi Aurat Juma’ Ke Din Bhi Gunah Ke Kaam Mein Mulawwis Hai To Kya Usey Yeh Fazeelat Mileygi Aur Us Ka Khatma Husn e Khatma Maana Jayega?
(Tirmidhi: 1074)


Allah Taala Hamein Achchey Aamaal Ki Tofeeq Ata Farmaye. Aameen Ya Rab.


Romanized By: Umar Asari


0 comments:

اگر ممکن ہے تو اپنا تبصرہ تحریر کریں

اہم اطلاع :- غیر متعلق,غیر اخلاقی اور ذاتیات پر مبنی تبصرہ سے پرہیز کیجئے, مصنف ایسا تبصرہ حذف کرنے کا حق رکھتا ہے نیز مصنف کا مبصر کی رائے سے متفق ہونا ضروری نہیں۔

اگر آپ کوئی تبصرہ کرنا چاہتے ہیں تو مثبت انداز میں تبصرہ کر سکتے ہیں۔

اگر آپ کے کمپوٹر میں اردو کی بورڈ انسٹال نہیں ہے تو اردو میں تبصرہ کرنے کے لیے ذیل کے اردو ایڈیٹر میں تبصرہ لکھ کر اسے تبصروں کے خانے میں کاپی پیسٹ کرکے شائع کردیں۔